Sunday, May 12, 2024
HomeEID UL AZHATakbeer e Tashreeq In Hindi - Eid Ki Takbeer Hindi Mein

Takbeer e Tashreeq In Hindi – Eid Ki Takbeer Hindi Mein

Eid Ki Takbeer – तकबीरे तशरीक़

तक़बीरे तशरीक़ { Takbeer e Tashreeq } 9 जिल हिज्ज की फ़ज़्र से 13 जिलहिज्जा की अस्र तक हर फर्ज जमाअत के बाद बा आवाजे बुलंद कहना चाहिये ! हज़रत अली कर्रमल्लाहो वजहहु का यही दस्तूर था ! हज़रत नबी करीम सल्लल्लाहो तआला अलैहे वसल्लम और हज़रत सहाब-ए-क़िराम इसकी बडी पाबंदी करते थे !

लफ़्ज़े तकबीरे तशरीक़ – Eid Ki Takbeer Ya Takbeer e Tashreeq

अल्लाहो अकबर अल्लाहो अकबर लाइलाहा इल्लल्लाहो वल्लाहू अकबर, अल्लाहु अकबर व लिल्लाहिल हम्द ! 

इसकी {Takbeer e Tashreeq Ki } गैर मामूली अहमियत का अन्दाज़ा इससे किया जा सकता है ! कि इसमें हज़रत इब्राहीम, हज़रत इस्माईल और हज़रत जिव्रईल अलैहिस्सलाम के कलिमात का मज़मूआ है !

मनकूल है कि जब हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम को लिटाकर उनके गले पर छुरी फेरने का इरादा किया ! तो अल्लाह पाक ने हज़रत जिब्रईंल अलैहिस्सलाम को हुक्म दिया ! कि जन्नत से एक दुम्बा लेकर इब्राहीम अलैहिस्सलाम के पास हाजिर हो ! ताकि वह अपने बेटे की जगह उसकी कुरबानी करे !

हज़रत जिब्रईल अलैहिस्सलाम ने देखा कि वह अपने बेटे को लिटा चुके हैँ ! और छुरी फेरने ही वाले हैँ तो उन्होंने बा आबाज बुलंद अल्लाहो अकबर अल्लाहो अकबर कहा ! ताकि उनकी तवज्जोह इधर हो जाए और छुरी फेरने में जल्दी न करें !

हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने जब ये सुना तो उनको ख्याल हुआ कि हज़रत जिब्रईल शायद बारगाहे खुदावंदी से कोइ बशारत लेकर आ रहे हैं तो खुशी में फ़रमाया – ला इलाहा इल्लल्लाहो वल्लाहो अकबर  जब हज़रत इस्माईल अलैहिस्सलाम ने ये दोनों आवजें सुनी तो उनको ख्याल हुआ कि शायद अल्लाह पाक की जानिब से उनका फिदया भेजा गया है ! तो उन्होंने फ़रमाया अल्लाहो अकबर व लिल्लाहिल हम्द !

 

You Also Read Jil Hijja Ke 10 Dino Ki Fazilat

Takbeer e Tashreeq Hindi Mein

Eid Ki Takbeer – Takbeer-E-Tashreeq

Takbeer-E-Tashreeq 9 Jill Hijja Ki Fazr Se 13 Jil Hijja Ki Asr Tak ( Chand Ki 9 Tarikh Ki Fazar Se Chand Ki 13 Tarikh Ki Asar Tak  ) Har Farz Namaz Jamaat Ke Baad Baa-AAwaje Buland Kahna Chaiye .

Hazrat Ali Radiyallahu Taala Anhu Ka Yahi Dastur Tha Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Or Tamam Hazrat Sahab e Keraam Iski Badi Pabandi Karte The .

Takbeer e Tashreeq 

Allhu Akbar Allahu Akbar La-Ilaha Illallaho W allhu Akbar Allhu Akbar Wa Lillahil Hamd

Iski {Takbeer e Tashreeq} ki Gair Mamuli Ahmiyat Ka Andaza Is Baat Se Lagaya Ja Sakta Hai Ki Isme Hazrat Ibrahim Hazrat Ismail Or Hazrat  Jibrael Alehissalaam Ke Kalimaat Ka Majmuaa Hai.

Mankul Hai Ki Jab Hazrat Ibraheem Alehisslam Ne Hazrat Ismail Alehissalam Ko Litakar Unke Gale Par Churi Chalane Ka Irada Kiya.

To Alah Paak Ne Hazrat Jibrael Alaihisslam Ko Huqm Diya Ki Jannat Se Ek Dumba Lekar Ibrahee, Alaihissalam Ke Paas Hajir Ho Taki Apne Ki Jagah Uski Qurbani Kare.

Hazrat Jibrael Ne Dekha Ki Wah Apne Bete Ko Lita Chuke Hai . Or Churi Ferne Hi Wale Hai . To Unhone Ba Awaz Buland Allahu Akbar Allhu Akbar Kaha . Taki Unki Tawajjoh Idhar Ho Jaye. Or Churi Ferne Mein Jaldi Na Kare.

Hazrat Ibraheem Alaihisslam Ne Jab Ye Suna . To Unki Khyal Hua Ki Hazrat Jibrael Shyad Bargaahe Khudavandi Se Koi Bashaarat Lekar Aa Rahe Hai. To Khushi Mein Farmaya –

Laa-Ilaha Illallaho Wallahu Akbar . Jab Hazrat Ismael Alaihisslam Ne Ye Dono Aawaze Suni To Unko Khyal Hua Ki Shayad Allah Paak Ki Janib Se Unka FidyaBheja Gaya Gaya Hai. To Unhone Farmaya Allahu Akbar Wa Lillahil Hamd.

Takbeer e Tashreeq English

 

RELATED ARTICLES

Most Popular