Monday, May 13, 2024
HomeEID UL AZHAQurbani Ki Dua In English

Qurbani Ki Dua In English

Asslamo Aliakum Bhaiyo Aur Bahno . Is Post Mein Hamne Apko Qurbani Ki Dua English Aur Arebic Mein Post Ki Hai Aur , Iske Alawa Qurbani Ki Dua Ki Images Bhi Upload Ki Hai .

Koi Bhi Dua Padhe To Agar Apko Arebic Aati Hai Arabi Mein Hi Padhe . Nahi To For Aap Qurbani Ki Dua English Mein AUr Hindi Mein Bhi Padh Sakte Hai .

Pahle Qurbani Karne Ka Tarika Jaan Lete Hai Fir Qurbani Ki Dua Padhte Hai .

Qurbani ki Niyat Dil Me Kar Lena Kafi Hai, Zaban Se Kahne Ki Zarurat Nahi, Lekin Zabah Karte Waqt
”BIS MILLAH ALLAHU AKBAR ” Kahna Zaruri Hai.
Sunnat yah hai ki Janwar Ko Ulte Pair Par Letaye Aur Uska Muh Kible Ki Taraf Karde . Aur Seedha Pair Uske Pahlu Par Rakh kar Qurbani Ki Dua Padhe – 

दोस्तों पोस्ट आप हिंदी में पढ़ना चाहते है तो हमारे हिंदी आर्टिकल की लिंक पर क्लिक कीजिये

Link – क़ुरबानी की दुआ और तरीका हिंदी में

إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ حَنِيفًا وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ إِنَّ صَلَاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ  لَا شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُسْلِمِينَ، بِسْمِ الله الله أَكْبَرُ

Qurbani Ki Dua In English

INNI WAJJAHTU WAJHIA LILLAZI FATARAS SAMAWAATI WL ARZ HANEEFA W MA ANA MINAL MUSHRIKEEN, INNA SALATI W NUSUKI W MAHYAYA W MAMATI LILLAHI RABBIL AALMEEN, LA SHARIKA LAHU, W BIZALIKA UMIRTU, W ANA AWWALUL MUSLIMEEN, ALLAHUMMA LA K WA MIN-K BIS MILLAHI ALLAHU AKBAR.
Yeh Padh Kar Janwar Ko Zabah Kare, Zabah Karne Ke Baad Yeh Dua Padhe
اللهم تقبله مني كما تقبلت من حبيبك محمد وخليلك إبراهيم عليه السلام
“ALLAHUMMA TAQABBALHU MINNI KAMA TAQBALLTA MIN HABIBIKA MUHAMMAD, W KHALILIKA IBRAHEEM ALIHISSLAM”
Note: Dua me “Minni” us Waqt kahte Hain Jab Khud Apni Taraf Se Qurbani Kar Rahe Ho, Aur Doosre Ki KI Taraf Se Qurbani Ho To “Minni” Ki Jagah Min Padhenge  Aur “Min” Ke Baad Us Admi Ka Naam Lena Hai , Jese Ki : “MIN Jameel”, ya “MIN Maqbool” Wagairah.
qurbani ki dua english
qurbani ki dua in english

Qurbani Ka Gosht

Agar Qurbani Ke Janwar Mein Mein Ek Se Jyada Hissedar Ho To Qurbani Ke Gost Ko  Wazan KarKe Banta Jaye, Andaze Se Nahi, Us Ke Baad Apni Qurbani Ke Gosht Ke 3 Hisse Kare,
Ek Hissa Apne Ghar-walon Ke Liye, Doosra Hissa Apne Dosto ke Liye, Aur Teesra Hissa Garibon Me Bant de.
Masla: Qurbani ka Gosht Bechna Haram Hai.
RELATED ARTICLES

Most Popular